didar mahtab ka shab bhar nahin hua raushan mere nasib ka akhtar nahin hua har dam wahi hua na thi ummid jis ki kuchh hona jo lazmi tha wo aksar nahin hua kya faeda charagh jalane se roz roz kirdar hi mera jo munawwar nahin hua ashaar ki kuchh aaj bhi aamad hai ho rahi ye zehn mera aaj bhi banjar nahin hua barson se kitne dariya hain is mein sama rahe mitha magar abhi bhi samundar nahin hua koshish to us ne khub ki ji jaan se magar panjon ke bal bhi wo mere ham-sar nahin hua ai zindagi kahun main tujhe kaise alwidaa tujh se abhi hisab barabar nahin hua 'agyat' gham na kar hain agar tujh mein khamiyan duniya mein koi shakhs bhi yaksar nahin hua