ye baat bhi na jaante anjaan hain sabhi duniya mein chand roz ke mehman hain sabhi maujud ghar mein sukh ke yun saman hain sabhi phir bhi yahan pe log pareshan hain sabhi insaniyat se badh ke na mazhab koi bhi hai ye baat jo na jaante nadan hain sabhi duniya mein un ko rutba ziyaada na mil saka itni si baat hi se pasheman hain sabhi viraniyon mein chikhne wala ye kaun hai ye baat soch soch ke hairan hain sabhi be-baat ka hi khauf tha is imtihan ka 'agyat' ye sawal to aasan hain sabhi