digar-gun hai jahan taron ki gardish tez hai saqi dil-e-har-zarra mein ghaugha-e-rusta-khez hai saqi mata-e-din-o-danish lut gai allah-walon ki ye kis kafir-ada ka ghamza-e-khun-rez hai saqi wahi derina bimari wahi na-mohkami dil ki ilaj is ka wahi aab-e-nashat-angez hai saqi haram ke dil mein soz-e-arzu paida nahin hota ki paidai teri ab tak hijab-amez hai saqi na uttha phir koi 'rumi' ajam ke lala-zaron se wahi aab-o-gil-e-iran wahi tabrez hai saqi nahin hai na-umid 'iqbaal' apni kisht-e-viran se zara nam ho to ye mitti bahut zarkhez hai saqi faqir-e-rah ko bakhshe gae asrar-e-sultani baha meri nawa ki daulat-e-parwez hai saqi