karte hain wahi log jahan taza-tar aabaad

karte hain wahi log jahan taza-tar aabaad
har daur mein rakhte hain jo sina sharer-abaad

pur-shor gulistan hain na ab dasht-o-dar aabaad
kya jaane kahan ho gae ahl-e-nazar aabaad

thahraw kisi shai ke muqaddar mein nahin hai
duniya hai wo jada jise kahiye safar-abaad

khwabon ke sanam-khane salamat hain to yunhi
fitnon se rahega kham-e-zulf-o-kamar aabaad

hamsaegi-o-rabt ki khushbu bhi kahin hai
karti hain bahaaren to nagar par nagar aabaad

naghmon se jahan raushni-e-dard thi kal tak
sannate se hai aaj wo shakh-e-shajar aabaad

'kausar' hai sukhan-tab mera shahr-e-takhayyul
is shahr mein hain aaj bhi aaina-gar aabaad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close