dikha ai nakhun-e-gham lutf-e-baham aise saman par gareban ka ho munh daman pe daman ka gareban par wo soe ho ke be-parda yahan kis kis tamanna se magar sadqe hawa ke raat bhar roe darakhshan par tumhaare dast-e-nazuk ne jo kin athkheliyan us se utar aaya gareban muskura kar pa-e-daman par sikhaya chashm ko kya aatish-e-gham ne dam-e-girya har ek aansu bana hai aabla daman-e-mizhgan par jigar mein kis maze se chutkiyan leta hai chhup-chhup kar guman-e-shahid-e-pahlu hai mujh ko dard-e-pinhan par main wo shaida-e-gesu hun ki aksar mausam-e-gul mein mera pa-e-nazar padta hai zanjir-e-gulistan par wo bulbul hun ghazal-khwan ai 'shagufta' bagh-e-alam mein garan hota nahin mera sukhan tab-e-sukhan-dan par