khwab mein aao mere rangin khwabon ki tarah padh sakun tum ko main rumani kitabon ki tarah dijiye tashbih kya un ko mah-o-khurshid se ek chehra un ka hai sau aaftabon ki tarah chahe gar insan to ban sakti hai la-fani hayat zindagi insan ki go hai hababon ki tarah jaise mahfum-o-maani se hon aari sare hi padhta hun ek ek chehre ko kitabon ki tarah tishnagi sab ki bujhaen bahr-e-be-payan banen ban ke duniya mein rahen hum kyun sarabon ki tarah