dikha do gar mang apni shab ko to hashr barpa ho kahkashan par chuno jabin par kabhi jo afshan to niklen tare na aasman par nahin hain shabnam ke subh qatre ye barg-e-gul-ha-e-bostan par ba-yaad-e-atish-rukhan phaphule pade hain har phul ki zaban par kahan sar-e-shama par hai shoala nigah tuk kije shama-dan par ki ustukhan hai ghiza hamari huma ye baitha hai ustukhan par asir-e-nau ki khabar le aa kar zara tu sayyaad-e-zulm-pesha yahan talak hun qafas mein tadpa ki mere sare hain dhajjiyan par hamare is ru-e-zard par jo sarishk-e-afshan hai abr-e-mizhgan na dekhi lali kabhi barasti kisi ne yun kisht-e-zafaran par koi gharibon ke marne se hawa bandhi hai kisi ki zalim agar sulaiman-e-waqt hai to qadam na rakh mor-e-na-tawan par bana ke aaina saf us ko kiya hai husn-e-ada se waqif ilahi aaina-saz ki ab shitab patthar pade zaban par jahan mein us ke shahid ka ho na kyunki rutba buland yaro yahi hai mearaj aashiqon ki jo sar ho baad-az-fana sinan par kare chaman mein na kyunki barpa tera ye buta sa qad qayamat nisar aankhon pe kya hai nargis ki ghuncha qurban hai dahan par rahi hai bazm-e-jahan mein munim sada bulandi ke sath pasti bisan-e-fawwara qasd mat kar zamin se jaane ka aasman par safar adam ka kahan kare hai ye bahr-e-hasti se ek dam mein hubab chashmak-zani kare hai khizar teri umr-e-jawedan par umid kya charkh-e-sifla-parwar hamein ho ab tujh se ek nan ki ki tere hathon se mah-e-nau ne yahan qanaat ki nim nan par 'nasir' kahte to sab yahan hain ki us ke aashiq hain hum wa-lekin bada sitam ho bada ghazab ho agar wo aa jae imtihan par