kaDa hai din baDi hai raat jab se tum nahin aae

kada hai din badi hai raat jab se tum nahin aae
digar-gun hain mere haalat jab se tum nahin aae

lagi rahti hai ashkon ki jhadi garmi ho sardi ho
nahin rukti kabhi barsat jab se tum nahin aae

na ki jati hai auron se mulaqat ek lamhe ko
na ho pati hai khud se baat jab se tum nahin aae

pata chalta nahin tha saaton ka jab tum aate the
guzarte hain garan lamhat jab se tum nahin aae

na ghar wale na ham-sae na ahbab-o-aizza hain
ye dil hai ya khuda ki zat jab se tum nahin aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close