dikha kar ek nazar dil ko nihayat kar gaya bekal pari-ru tund-khu sarkash hatela chulbula chanchal wo aariz aur jabin-taban ki hon dekh us ko sharminda qamar khurshid zohra shama shoala mushtari mashal kafon mein ungliyon mein lal mein aur chashm-e-maigun mein hina aafat sitam funduq misi jadu fusun kajal badan mein jama-e-zar-kash sarapa jis pe zeb-awar kade bunde chhade chhalle anguthi nau-ratan haikal nazakat aur latafat wo kaf-e-pa tak ki hairan hun saman gul lala nasrin nastaran darparniyan makhmal sarasar pur-fareb aisa ki zahir jis ki nazron se shararat shokhi ayyari tarah phurti dagha chhalbal 'nazir' ek umr-e-ishrat ho mile aisa pari-paikar agar ek aan agar ek dam agar ek chhan agar ek pal