sabab wo puchh rahe hain udas hone ka mera mizaj nahin be-libas hone ka naya bahana hai har pal udas hone ka ye faeda hai tere ghar ke pas hone ka mahakti raat ke lamho nazar rakho mujh par bahana dhund raha hun udas hone ka main tere pas bata kis gharaz se aaya hun subut de mujhe chehra-shanas hone ka meri ghazal se bana zehn mein koi taswir sabab na puchh mere dewdas hone ka kahan ho aao meri bhuli-bisri yaado aao khush-amdid hai mausam udas hone ka kai dinon se tabiat meri udas na thi yahi jawaz bahut hai udas hone ka main ahmiyat bhi samajhta hun qahqahon ki magar maza kuchh apna alag hai udas hone ka mere labon se tabassum mazaq karne laga main likh raha tha qasida udas hone ka pata nahin ye parinde kahan se aa pahunche abhi zamana kahan tha udas hone ka main kah raha hun ki ai dil idhar-udhar na bhatak guzar na jae zamana udas hone ka