dikha rahi hai jahan dhup ab asar apna bikherta tha wahin saya ek shajar apna phalon ka ab ke bhi pahle se ho gaya sauda darakht chhu na sakenge koi samar apna bahut hi tez tha khanjar hawa ke hathon mein bacha saka koi tair na baal-o-par apna kabhi jo samne aaya to chhup gaya hun kabhi ye ek khel raha khud se umr-bhar apna abhi to baqi hain manzil ki thokaren kuchh aur yahin pe khatm nahin hai abhi safar apna ye kaun shama liye pesh pesh chalta raha dikhai bhi na diya kaun tha khizar apna nizam-e-jabr ki wo kar raha hai phir tausia badha raha hai wo phir halqa-e-asar apna koi nahin hai jo shamshir chhin le us se chhupae phirta hai har ek shakhs sar apna kisi pe khulta bhi kya apna karb-e-gham 'mohsin' na koi marsiyan-khwan tha na nauhagar apna