kitni sadiyon se lamhon ka loban jalta raha

kitni sadiyon se lamhon ka loban jalta raha
umr ka silsila sans ban kar pighalta raha

napta rah gaya mauj se mauj ka fasla
waqt ka tez dariya samundar mein dhalta raha

be-nishan manzilen kis safar ki kahani likhun
thak gai soch har mod par zehn jalta raha

ajnabi raston ki taraf yun na badhte qadam
gard ban kar kai mere ham-rah chalta raha

rut badalte hi dil mein nai tis paida hui
zahr-alud mausam mein ek dard palta raha

gyan ki aanch ne kar diya maskh mera wajud
ya main bargad ke sae mein khud ko badalta raha

daere se nikal kar bhi main daere mein tha qaid
phul zakhmon ke chunta raha hath malta raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close