dikhae gard ke kheme pa ghar nahin likkha safar to saunp gaya wo shajar nahin likkha wo aashna mujhe pani se kar ke laut gaya kisi bhi lahr mein jis ne guhar nahin likkha bashaaraten thin ki poron ki samt aati thin magar ye hath ki jin mein hunar nahin likkha ajab guman the qaus-e-nigah mein us ki khandar se shahr ko is ne khandar nahin likkha har ek rut ki dua bhi hawa bhi aai thi ye banjh ped ki in par samar nahin likkha us ek lafz ki siski mujhe rulati hai wo ek lafz jise jaan kar nahin likkha