bas ek hijr ke mausam ka rang gahra tha har ek rut ko chakha tha barat ke dekha tha us ek lamhe mein kitni qayamaten tutin bas ek lamhe ko tere asar se nikla tha koi charagh bhi rakht-e-safar mein rakh lete safar mein raat bhi aaegi ye na socha tha khud apne-ap ko chhune ka hausla na raha ki mere jism pe mera hi khun phaila tha wo aaj mujh se mila hai to kitna banjar hai jo apni aankh mein sawan ke rang rakhta tha na us ki chhanw thi meri na phul the mere shajar tha sehn mein apne magar paraya tha wo sahilon pe pada ab khala ko takta hai jo paniyon mein utarta tha sip chunta tha ata hai dhul se kamra hai taq bhi suna kabhi gulab saje the charagh jalta tha