dikhai denge jo gul mez par qarine se hawaen chhedengi aa kar khule dariche se khala mein aaj sakun apna dhundhta hai wahi bahal gaya tha jo bachcha kabhi khilaune se tumhaare dil mein hai ek karb sa kisi ke liye ye baat hum ne padhi hai tumhaare chehre se jale dil to yaqinan labon pe hogi karah dhuan to phailega jangal mein aag lagne se faza mein surat-e-shahin buland ho kar dekh dikhai denge ye unche darakht chhote se sunai di hai kahin kya khizan ke panon ki chap ki phul aaj hain gulshan mein sahme sahme se chalo ki puchhen kisi sokhta-jigar se ye baat gurez hota hai kab aadmi ko jine se wafa na tutne wali hai ek shai 'shaariq' karo wafa ko na tabir kachche dhage se