dikhai dengi sabhi mumkinat kaghaz par zara utar to lun sab jihat kaghaz par mari kahani bahut der se ruki hui hai wo kho gaya hai kahin rakh ke hath kaghaz par hamari taza ghazal mein bhi aks hai us ka wo ek ashk jo tapka tha raat kaghaz par mein thak chuka hun faqat raeganiyan likhte undel dun na kahin ab dawat kaghaz par kise khabar ki ye raddi mein bech di jae bana raha hun main jo kaenat kaghaz par main likh raha tha teri khwab-gah ki yaaden ki so gaya tha wahin rakh ke hath kaghaz par