qafas-nasibon ka uf haal-e-zar kya hoga phir aa rahi hai chaman mein bahaar kya hoga dil-o-jigar pe liye honge zakhm kitnon ne koi hamari tarah dil-e-figar kya hoga isi khayal se main arz-e-shauq kar na saka haya se rang-e-rukh-e-tab-dar kya hoga bahaar de na saki ek phul ko bhi nikhaar khizan ke sath hai rang-e-bahaar kya hoga fasurda lala-o-gul hain rawish rawish hai udas chaman mein aise mein jashn-e-bahaar kya hoga khadang-e-naz ne kuchh is tarah kiya zakhmi jo dil ke zakhm hain un ka shumar kya hoga kabhi ki tut gai aas raat bhig gai kisi ke aane ka ab intizar kya hoga