dikhate hain jo ye sanam dekhte hain

dikhate hain jo ye sanam dekhte hain
khuda ki khudai ko hum dekhte hain
ye haiwan hai dast-e-talea pe bhaari
nae jaanwar ka qadam dekhte hain
zan-o-khwesh-o-farzand-o-daulat se chhute
na dekhe koi jo ki hum dekhte hain
shahanshah hum hain dilon par hain hakim
gada tum ko ai zi-hasham dekhte hain
faqat hath kale nahin balki munim
dilon par bhi dagh-e-waram dekhte hain
kahan tak utarti hai sine pe mere
teri tegh-e-abru ka dam dekhte hain
bhagati hai mar-e-siyah go ki hum ko
teri zulf-e-mushkin ka sam dekhte hain
zamin par bhi deta nahin chain hum ko
falak tujh se jaur-o-sitam dekhte hain
dur-e-ashk se mera bharti hai daman
sakhi tujh ko ai chashm-e-nam dekhte hain
na ranj aur na shadi tawassut hai hum ko
ki aish-o-alam bhi baham dekhte hain
kisi mah ne us ko dhoka diya hai
hum 'akhtar' ko kyun pur-alam dekhte hain
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close