dikhai jaegi shahr-e-shab mein sahar ki tamsil chal ke dekhen sar-e-salib istada hoga khuda-e-injil chal ke dekhen gulon ne band-e-qaba hai khola, hawa se bu-e-junun bhi aae karenge is mausam-e-wafa mein hum apni takmil chal ke dekhen ghanim-e-shab ke khilaf ab ke ziyan hui ghaib ki gawahi pada hua khak par shikasta par-e-ababil chal ke dekhen chune hain wo reza reza manzar, lahu lahu ho gai hain aankhen chalo na! us dukh ke raste par safar ki tafsil chal ke dekhen faza mein udta hua kahin se ajab nahin aks-e-barg aae khizan ke be-rang aasman se ati hui jhil chal ke dekhen ludhak gaya shab ka koh-paima zamin ki hamwariyon ki jaanib kahin hawa gul na kar chuki ho ana ki qindil chal ke dekhen