dikhawa hi karna hai to phir bada kar tu shair nahin khud ko aashiq kaha kar yun shakhon ki sautan khadi mat hua kar shajar ki kamar se kamar tu laga kar badan se uchhal kar nikal aaegi ruh mere khwab mein ghair ko mat chhua kar bahut der kar di ye kahne mein main ne zara to suno mujh ko itna suna kar jise dekhiye khak ho jaega wo nazar mein 'anant' ashk hain kul mila kar