dil ki viraniyon mein hamein khwahishen dekh toka karen hum yatimon ke dar se daren bin batae na jaya karen jism jhulsaiye lab-ba-lab bujh na jae kahin par talab hum patange nahin jo jalen aag hain aap mana karen yun bhi taklif ghatti nahin so takalluf zaruri nahin aap aaen na to sah bhi len puchh kar to na aaya karen gham khushi ya ghalat aur sahi chhodiye baat dastur ki hadson ke liye chhod den khud-kushi pe na roya karen raqs to asl hai ba'd mein yun abhi se na aahen bharen jab talak maut tayyar ho zindagi se guzara karen