dikhlae khuda us sitam-ijad ki surat istada hain hum bagh mein shamshad ki surat yaad aati hai bulbul pe jo bedad ki surat ro deta hun main dekh ke sayyaad ki surat aazad tere ai gul-e-tar bagh-e-jahan mein be-jah-o-hasham shad hain shamshad ki surat jo gesu-e-jaanan mein phansa phir na chhuta wo hain qaid mein phir khub hai miad ki surat khinchenge mere aaina-rukhsar ki taswir dekhe to koi mani-o-bahzad ki surat gali ke siwa hath bhi chalta hai ab un ka har roz nai hoti hai bedad ki surat kis tarah 'amanat' na rahun gham se main dil-gir aankhon mein phira karti hai ustad ki surat