khamosh baithe ho kyun saz-e-be-sada ki tarah koi payam to do ramz-ashna ki tarah kahin tumhaari rawish khar-o-gul pe bar na ho riyaz-e-dahr se guzre chalo saba ki tarah niyaz-o-ijz hi mearaj-e-adamiyyat hain badhao dast-e-sakhawat bhi iltija ki tarah jo chahte ho badalna mizaj-e-tufan ko to nakhuda pe bharosa karo khuda ki tarah mujhe hamesha rah-e-zist ke dorahon par ek ajnabi hai jo milta hai aashna ki tarah tamam umr raha sabiqa yazidon se mere liye to ye duniya hai karbala ki tarah umid un se wafa ki to khair kya kije jafa bhi karte nahin wo kabhi jafa ki tarah ye dahr bhi to hai mai-khana-e-alast-numa raho yahan bhi kisi rind-e-parsa ki tarah zaban pe shikwa-e-be-mehri-e-khuda kyun hai? dua to mangiye 'atish' kabhi dua ki tarah