dil aatish-e-hijran se jalana nahin achchha ai shoala-rukho aag lagana nahin achchha kis gul ke tasawwur mein hai ai lala jigar-khun ye dagh kaleje pe uthana nahin achchha aaya hai ayaadat ko masiha sar-e-baalin ai marg thahar ja abhi aana nahin achchha sone de shab-e-wasl-e-ghariban hai abhi se ai murgh-e-sahar shor machana nahin achchha tum jate ho kya jaan meri jati hai sahib ai jaan-e-jahan aap ka jaana nahin achchha aa ja shab-e-furqat mein qasam tum ko khuda ki ai maut bas ab der lagana nahin achchha pahuncha de saba kucha-e-jaanan mein pas-e-marg jangal mein meri khak udana nahin achchha aa jae na dil aap ka bhi aur kisi par dekho meri jaan aankh ladana nahin achchha kar dunga abhi hashr bapa dekhiyo jallad dhabba ye mere khun ka chhudana nahin achchha ai fakhta us sarw-e-sahi qad ka hun shaida ku-ku ki sada mujh ko sunana nahin achchha