kabhi to bante hue aur kabhi bigaDte hue

kabhi to bante hue aur kabhi bigadte hue
ye kis ke aks hain tanhaiyon mein padte hue

ajib dasht hai is mein na koi phul na khar
kahan pe aa gaya main titliyan pakadte hue

meri fazaen hain ab tak ghubar-aluda
bikhar gaya tha wo kitna mujhe jakadte hue

jo sham hoti hai har roz haar jata hun
main apne jism ki parchhaiyon se ladte hue

ye itni raat gae aaj shor hai kaisa
hon jise qabron pe patthar kahin ukhadte hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close