dil abhi tak jawan hai pyare kis musibat mein jaan hai pyare tu mere haal ka khayal na kar is mein bhi ek shan hai pyare talkh kar di hai zindagi jis ne kitni mithi zaban hai pyare waqt kam hai na chhed hijr ki baat ye badi dastan hai pyare jaane kya kah diya tha roz-e-azal aaj tak imtihan hai pyare hum hain bande magar tere bande ye hamari bhi shan hai pyare nam hai is ka naseh-e-mushfiq ye mera mehrban hai pyare kab kiya main ne ishq ka dawa tera apna guman hai pyare main tujhe bewafa nahin kahta dushmanon ka bayan hai pyare sari duniya ko hai ghalat-fahmi mujh pe to mehrban hai pyare tere kuche mein hai sukun warna har zamin aasman hai pyare khair fariyaad be-asar hi sahi zindagi ka nishan hai pyare sharm hai ehtiraaz hai kya hai parda sa darmiyan hai pyare arz-e-matlab samajh ke ho na khafa ye to ek dastan hai pyare jang chhid jae hum agar kah den ye hamari zaban hai pyare