dil agar dard-ashna na hua us ka hona hi kya hua na hua waqif-e-dard-e-la-dawa na hua khar-e-rah koi zer-e-pa na hua marg-e-ashiq bhi narawa thahri yani mar kar bhi haq ada na hua shab-e-hijran bhi ek qayamat hai kaun fitna tha jo bapa na hua us ke wadon pe kar raha hun yaqin jis ka wada kabhi wafa na hua khubiyan hain yahi mohabbat ki kaun hai zulm jo rawa na hua rah-e-ulfat mein hun main garm-e-safar kya hai gar koi dusra na hua sher-goi se 'zabt' kya hasil koi maddah jab tera na hua