bahaar apni na gul apne na sehn-e-gulsitan apna bana len kyon na virane mein ja kar aashiyan apna sunaen aah kis ko qissa-e-dard-e-nihan apna ab aata hai nazar na-mehrban har meherban apna batae kaun ghurbat mein hai kya nam-o-nishan apna na koi ham-sukhan apna na koi raazdan apna karishma jazb-e-ulfat ka ye dekhen dekhne wale wahin manzil nazar aai qadam uththa jahan apna sharaf hasil hua hai jab se us dar ki gadai ka zamin apni falak apna hai mehr-e-asman apna shuur-e-agahi goya faqat lafz-o-bayan tak hai hai sar-basta azal se aaj tak raaz-e-nihan apna guman hai sina-e-sozan mein phute aable dil ke sharar ban kar jo nikla chashm se ashk-e-rawan apna talash-e-yar aur is be-khudi mein 'zabt' kab mumkin wo aalam hai bata sakte nahin khud hi nishan apna