dil ai dil ye tarz nahin kuchh ishq ke ohde-daron ki sunte ho majburon ki aur kahte ho mukhtaron ki phir maujon se chikh si utthi mujh ko to ye dhoka hai gai raat bhi patwaron se khub nibhi manjdhaaron ki yaad dila di hai suraj ke aas-pas ek badli ne kali qamison ke sae mein dhup saped ghararon ki pipal ke patton ke sae kab tak tumhein sarahenge ek na ek din qismat jag uthegi rah-guzaron ki ai gul-e-daman-e-rashk-e-gulistan hum se hamara haal na puchh sehn-e-chaman ke viranon mein surat dekh bahaaron ki ek bujhti lakdi se ek shoala lahraya hai jis waqt khana-ba-doshon ke kheme mein baat chhidi matiyaron ki tere hijr mein jam na khanken patta na khadke aah na ho kis dariya mein dub maren aawazen chauki-daron ki us be-rukh ne bedardi se raaton raaton rulwaya dard ka had se badh jaana thahri jo dawa bimaron ki aao ek do pal susta len mazi ki diwar tale sej bhi hai nauras kaliyon ki barkha bhi angaron ki aise kahan nasib hamare bayan ang phadak utthe kaun khabar hai dukhiya jag mein hum papi dukhiyaron ki hum ko kisi se gila nahin hai jaan gae pahchan gae viran dilon ke virane hain duniya duniya-daron ki ek zamana guzra hum bhi tere shahr ke basi the aaj bhi aankhon mein phirti hai surat tere dayaron ki go qadmon se juda hue wo rah-guzaren der hui lekin dil par jam si gai hai dhul in rah-guzaron ki khair un dinon to chaak-garebanon ki izzat hoti thi aaj to khair se tere shahr mein izzat hai dastaron ki 'ashk' mere ashaar ke aatish-paron se dhire dhire basti basti phail rahi hai aanch in ke rukhsaron ki