nind ki saudagari karta hun main

nind ki saudagari karta hun main
bas yahi ek chaakari karta hun main

log jo karte nahin hain umr bhar
kaam bas wo digari karta hun main

takta rahta hun main taron ko yun
jaise aawara-gari karta hun main

kaam mera kuchh nahin hai bas magar
har nafas surat-gari karta hun main

koi ab kaise muqabil ho mera
rahbari hi rahbari karta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close