dil aisa ishrat-o-rahat ki khwahishon mein jala tamam umr main be-nam hasraton mein jala ye kal ki baat hai zehnon mein gunjti hogi charagh ek hawaon ke raston mein jala mere khulus ke sae mein kash ji sakta mera harif jala bhi to sazishon mein jala fazaon mein jo andhere bikher deta hai wahi charagh-e-adawat magar dilon mein jala ye aur baat abhi raushni nahin phaili koi diya to magar gham ki zulmaton mein jala wo kaun hain jinhen saya lagi firaq ki aanch mera badan to hamesha rafaqaton mein jala yahi nahin ki farozan thi intizar ki aag charagh-e-dard bhi barsat ki ruton mein jala na-jaane kha gai kis ki nazar bahaaron ko ye ek shahr-e-mohabbat tha nafraton mein jala wafa ki aag mein kundan bana to hairat kya 'siraj' waise bhi ahbab ke dukhon mein jala