dil bache kyunkar buton ki chashm-e-shokh-o-shang se apna ghar to sujhta hai saikdon farsang se ek bhi nikle na meri si fughan-e-dil-kharash garche khun tapke gulu-e-murgh-e-khush-ahang se chhup ke baithega kahan tu hum se ai rangin-nawa hoga tu jis rang mein mil jaenge us rang se bal be-bariki ki goya har tera tar-e-sukhan jantari mein khinch ke nikla hai dahan-e-tang se ai taghaful-kesh jaldi aa ki tu waqif nahin is dil-e-betab o jaan-e-muztarib ke dhang se josh-e-girya se rahi barsat barson par kabhi us ki tegh-e-tez aaluda na dekhi zang se mere girye ke asar se ho gae patthar bhi aab jhadte hain ja-e-sharar pani ke qatre sang se pahle ye niyat wazu ki hai namaz-e-ishq mein dil se kah dije ki dhowe hath nam o nang se 'zauq' zeba hai jo ho rish-e-safed-e-shaikh par wasma aab-e-bang se mehndi mai-e-gul-rang se