kisi gharib ki barson ki aarzu ho jaun main is surang se niklun tu aab-ju ho jaun bada hasin taqaddus hai us ke chehre par main us ki aankhon mein jhankun to ba-wazu ho jaun mujhe pata to chale mujh mein aib hain kya kya wo aaina hai to main us ke ru-ba-ru ho jaun kisi tarah bhi ye viraniyan hon khatm meri sharab-khane ke andar ki haw-hu jaun meri hatheli pe honton se aisi mohr laga ki umr-bhar ke liye main bhi surkh-ru ho jaun kami zara si bhi mujh mein na koi rah jae agar main zakhm ki surat hun to rafu ho jaun nae mizaj ke shahron mein ji nahin lagta purane waqton ka phir se main lucknow ho jaun