dil badan ka sharik-e-haal kahan hijr phir hijr hai visal kahan ishq hai nam intihaon ka is samundar mein e'tidal kahan aisa nashsha to zahr mein bhi na tha ai gham-e-dil teri misal kahan hum ko bhi apni paemali ka hai magar is qadar malal kahan main nai dosti ke mod pe tha aa gaya hai tera khayal kahan dil ki khush-fahm tha so hai warna tere milne ka ehtimal kahan wasl o hijran hain aur duniyaen in zamanon mein mah-o-sal kahan tujh ko dekha to log hairan hain aa gaya shahr mein ghazal kahan tujh pe likkhi to saj gai hai ghazal aa mila khwab se khayal kahan ab to shah mat ho rahi hai 'faraaz' ab bachaw ki koi chaal kahan