kabhi ghami ke nam par kabhi KHushi ki aaD mein

kabhi ghami ke nam par kabhi khushi ki aad mein
tabah kar gaya mujhe wo dosti ki aad mein

wo jab chala gaya yahan se phir mujhe khabar hui
ki maut palta raha hun zindagi ki aad mein

wo shakhs bhi ajib tha ajib us ke shauq the
khuda tarashta raha sanam-gari ki aad mein

main qurbaton ki chah main qarib is ke ho gaya
wo dur mujh se ho gaya tha phir sahi ki aad mein

ajab nahin bahaar-rut mein sanp bhi hun bagh mein
kisi gulab ki jagah kisi kali ki aad mein

sukhan ki lai ne duriyon ke silsile mita diye
tere qarib aa gae hain shairi ki aad mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close