dil bhar aae to samundar nahin dekhe jate aks pani mein utar kar nahin dekhe jate dekh ai sust-rawi hum se kinara kar le har qadam rah ke patthar nahin dekhe jate wo chahak ho ki mahak ek hi rukh udti hai bar-sar-e-dosh-e-hawa par nahin dekhe jate dekh ai sada-dil o sada-rukh o sada-jamal har jagah ye zar-o-zewar nahin dekhe jate apne hathon mein lakiron ke siwa kuchh bhi nahin dard-mandon ke muqaddar nahin dekhe jate sar-girafton ke liye ghar bhi qafas hain 'khalid' himmat ai khira-saro sar nahin dekhe jate