dur tak phaila samundar mujh pe sahil ho gaya laut kar jaana yahan se aur mushkil ho gaya dakhila mamnua likkha tha fasil-e-shahr par padh to main ne bhi liya tha phir bhi dakhil ho gaya khwab hi bazar mein mil jate hain tabir bhi pahle logon se suna tha aaj qail ho gaya is hujum-e-be-karan se bhag kar jata kahan tum ne roka to bahut tha main hi shamil ho gaya pahle bhi ye sab manazir rokte the is dafa aisa kya dekha ki tujh se aur ghafil ho gaya ek mauqa kya mila khush-fahmiyan badhne lagin rasta itna pasand aaya ki manzil ho gaya aur kya deta bhala sahra-nawardi ka khiraj tu bacha tha ab ke tu bhi nazr-e-mahmil ho gaya