dil bhi dagh-e-naqsh-e-kuhan se bujha hua tha

dil bhi dagh-e-naqsh-e-kuhan se bujha hua tha
chand ke gird bhi ek haala sa bana hua tha

us ko ek ghazal pahunchani thi jaldi mein
lekin raste mein sannata khada hua tha

shoala chum ke rakkhe us ne sans diye mein
main ne jhuk kar dekha kajal baha hua tha

chhat se chehre par girte hi rahe sitare
aasman ka khema thoda phata hua tha

basti se nikle hain kuchh mitti ke khilaune
insanon ka nam-o-nishan tak mita hua tha

hath bandh kar mere sare adu khade the
lekin main apni takhrib pe tula hua tha

mushk bhari hai main ne donon hathon kata kar
sochon ke pani par pahra laga hua tha

us ki aankhen bhi kuchh roi roi si thin
aur main bhi us sham bahut hi thaka hua tha

bhig raha tha sabza os ke moti pahne
sukha baadal kunen ke andar gira hua tha

bachcha ek pahiye ko le kar bhag raha tha
waqt jhuki diwar ke upar baha hua tha

shah-rahon par ukhde ukhde sans pade the
dariya bhaari shahr ke niche daba hua tha

sine se sanson ka rishta tut chuka tha
qaidi ke pairon ka tala khula hua tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close