har kisi KHwab ke chehre pe likhun nam tera

har kisi khwab ke chehre pe likhun nam tera
main use apna hunar samjhun ki inam tera

titliyan phul mein kya dhundhti rahti hain sada
kya kahen baad-e-saba rakh gai paigham tera

jis tarah rang-e-shafaq jhil mein ghul jata hai
aks-e-lab aise utarta hai tah-e-jam tera

raat aaegi to dikhlaega kuchh aur hi rang
wo jo din bhar to paraya laga aur sham tera

faqat is soch mein hath uthte nahin waqt-e-dua
main bhala kis tarah samjhaun tujhe kaam tera

taqche gosha-e-dil fikr-o-amal chhan chuke
kisi haalat mein bhi milta nahin islam tera

shama bujhti hai to duniya mein sahar hoti hai
ai sukhan-war tera aaghaz hai anjam tera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close