dil bhi tanha rahta hai aur meri talab tanha aansuon ke mele mein rahti hun main ab tanha khalwaton ko hai meri kis qadar hasin nisbat main zamin pe tanha hun arsh par hai rab tanha ek shajar tha sahra mein dhup thi kadi jis par dhal gaya tha saya bhi rah gaya wo jab tanha kya tujhe khabar bhi hai hijr ki haweli mein raat bhar tadapta hai koi tishna-lab tanha titli chidiya parwane chand suraj aur jugnu apni apni duniya mein phir rahe hain sab tanha zindagi se badh kar thi qimti jo shab meri chashm-e-tar mein dubi si kat gai wo shab tanha dair ho ya kaba ho kis ki justuju mein ye phir raha hai sadiyon se ishq ka nasab tanha yaad ke jharokon se ek sada si aati hai umr ke kathin lamhe katte hain ye kab tanha kuchh ajab sawalon mein jaane kin khayalon mein koi rota rahta hai yunhi be-sabab tanha sach ko chhodne wale fikr kyon nahin karte jal raha hai dozakh mein kab se bu-lahab tanha tab hua ujagar ye fikr-o-fan shafaq mera qabr ke andheron mein rah gai main jab tanha