teri mohabbaton ka talabgar main bhi hun

teri mohabbaton ka talabgar main bhi hun
isar ka wafa ka parastar main bhi hun

marub main nahin teri unchi udan se
mauj-e-hawa se barsar-e-paikar main bhi hun

hirs-o-hawas ka daur hai majbur hain awam
rishwat adaegi ka gunahgar main bhi hun

dariya-dili ka teri ishaara mila to hai
lekin rahe khayal ki khuddar main bhi hun

main kyon kisi ki zat pe kichad uchhaal dun
ye jaanta hun sahab-e-dastar main bhi hun

har ek nigah-e-khas ne samjha mujhe aziz
han mohtaram badaulat-e-kirdar main bhi hun

hai ek bikau jins-e-siyasat mein ab zamir
tum bhi lagao dam kharidar main bhi hun

khote khare ka farq samajhta hun main huzur
is daur ke mizaj ka fankar main bhi hun

kam-zarf ne kalaf ka pahan kar libas kyon
dawa kiya ki raunaq-e-bazar main bhi hun

'nayyar' talluqat hain aari khulus se
ahbab ke suluk se bezar main bhi hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close