dil chahta tha lana jigar le ke aa gaya

dil chahta tha lana jigar le ke aa gaya
main apni shairi ka hunar le ke aa gaya

ai iltifat-e-yar mujhe muaf kar ki main
lana kahin tha tujh ko kidhar le ke aa gaya

manzil ki justuju thi mujhe rah-e-ishq mein
anjam ye ki gard-e-safar le ke aa gaya

phir yun hua ke apni ghazal ki kitab mein
main apni bebasi ka asar le ke aa gaya

'kashif' ki shairi mein alag baat hai ki wo
ghazlon mein apna khun-e-jigar le ke aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close