wo kiya gaya musallat mera haal dekhne ko

wo kiya gaya musallat mera haal dekhne ko
ki uruj-e-zindagani ka zawal dekhne ko

ye ajib masala hai mere us ke darmiyan bhi
wo jawab le ke aaya hai sawal dekhne ko

tu badal ke apna chehra bada shadman hai lekin
koi aaina to rakh le khad-o-khal dekhne ko

jahan kal basa hua tha mera shahr ab hai malba
mujhe us ne zindagi di ye wabaal dekhne ko

na to dad ki tamanna na to shohraton ki khwahish
mera fan hi aaina hai ye kamal dekhne ko

jo khada hua hai 'anwar' liye sang mere aage
wo hai muztarib lahu ka ye ubaal dekhne ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close