dil dasht ki surat tha samundar hua kaise sarsabz khizan-zad muqaddar hua kaise chhanw mein dhala kaise tamazat bhara mausam phulon se bhi nazuk mera paikar hua kaise phirti thi tamannaon bhari shaal lapete phir jazba-e-gumnam ujagar hua kaise muddat se ye uljhi hui gutthi nahin suljhi wo mujh mein samaya tha to be-ghar hua kaise ek umr kisi pal jo mere hath na aaya wo khwab sa ehsas musakhkhar hua kaise ek raaz jo hamraaz raha barson 'samina' ab sochti hun fash jahan par hua kaise