khushbu si koi aae to lagta hai ki tum ho shisha kahin takrae to lagta hai ki tum ho ehsas-e-mohabbat se kisi gosha-e-dil mein jab chot ubhar aae to lagta hai ki tum ho pur-kaif hawa mein jo kisi ped ke niche aanchal mera lahrae to lagta hai ki tum ho chhune se kabhi baad-e-saba ke mere tan mein ek barq si lahrae to lagta hai ki tum ho sar rakh ke jo patthar pe kabhi rah-e-alam mein kuchh nind si aa jae to lagta hai ki tum ho jab sham-e-mulaqat padosi ke makan se aawaz koi aae to lagta hai ki tum ho jab shana bhi karne na uthe hath hamara aur zulf sanwar jae to lagta hai ki tum ho