dil dhundhti hai nigah kisi ki aaine ki hai na aarsi ki malik mere main ne mai-kashi ki lekin ye khata kabhi kabhi ki kya shakl hai wasl mein kisi ki taswir hain apni bebasi ki khul jae saba ki pak-bazi bu phute jo bagh mein kali ki kam-bakht kabhi na khush hua tu ai gham teri har tarah khushi ki munh hum ne hansi hansi mein chuma jo ho gai baat thi hansi ki tana sa tana hai mai-kade mein pagdi uchhli hai shaikh-ji ki hum ko jo diya to aur ka dil dil le ke ye achchhi dil-lagi ki yun bhi to chala na kaam apna dushman se bhi hum ne dosti ki pae gae jis mein dil ke ajza hogi wo khak usi gali ki aisi hai ki pi sakega waiz hai taza kashid aaj hi ki mai khuld mein hogi surat-e-hur maikhane mein shakl hai pari ki ghar hai na kahin nishan lahad ka mitti hai kharab be-kasi ki sach ye hai ki zindagi ho ya maut har chiz buri hai muflisi ki achchhi hai gazak se, talkh mai se milti rahe roz rukhi-phiki kuchh kuchh hai 'riyaz' 'mir' ka rang kuchh shan hai hum mein 'mushafi' ki