sara aalam gosh-bar-awaz hai aaj kin hathon mein dil ka saz hai tu jahan hai zamzama-pardaz hai dil jahan hai gosh-bar-awaz hai han zara jurat dikha ai jazb-e-dil husn ko parde pe apne naz hai ham-nashin dil ki haqiqat kya kahun soz mein duba hua ek saz hai aap ki makhmur aankhon ki qasam meri mai-khwari abhi tak raaz hai hans diye wo mere rone par magar un ke hans dene mein bhi ek raaz hai chhup gae wo saz-e-hasti chhed kar ab to bas aawaz hi aawaz hai husn ko nahaq pasheman kar diya ai junun ye bhi koi andaz hai sari mahfil jis pe jhum utthi 'majaz' wo to aawaz-e-shikast-e-saz hai