dil diya hai hum ne bhi wo mah-e-kaamil dekh kar zard ho jati hai jis ko sham-e-mahfil dekh kar tere aariz pe ye nuqta bhi hai kitna intikhab ho gaya raushan tere rukhsar ka til dekh kar qatl karna be-gunahon ka koi aasan hai khushk qatil ka lahu hai khun-e-bismil dekh kar balliyon fart-e-masarrat se uchhal jata hai dil bahr-e-gham mein dur se daman-e-sahil dekh kar aaine ne kar diya yaktai ka dawa ghalat naqsh-e-hairat ban gae apna muqabil dekh kar dekh to len dil mein tere ghar bhi kar sakte hain hum dil to hum denge tujhe lekin tera dil dekh kar dekhiye rah-e-adam mein aur pesh aata hai kya hosh parran ho rahe hain pahli manzil dekh kar aarzu-e-hur kya ho 'naz' dil de kar unhen shama par kya aankh dalen mah-e-kaamil dekh kar