mata-e-ishq zara aur sarf-e-naz to ho tazzi-e-umr ka aakhir koi jawaz to ho ba-ham-digar koi shab us se lab-ba-lab to chale hawa-e-shauq kuchh aaluda-e-majaz to ho qadam qadam koi saya sa muttasil to rahe sarab ka ye sar-e-silsila daraaz to ho wo kam-sukhan na kam-amez phir takalluf kya kuchh us se baat to thahre kuchh us se saz to ho wafa se manzil-e-tark-e-wafa tak aa nikle kisi bahane to patthar kabhi gudaz to ho shafaq kinaya-e-lab sham istara-e-zulf kabhi khayal wasilon se be-niyaz to ho huzur-e-naz abas hai khayal-e-jaan 'gauhar' niyaz mahram-e-khamyaza-e-niyaz to ho