dil diya tab ki bahut zulf-e-rasa ne chaha

dil diya tab ki bahut zulf-e-rasa ne chaha
aap farmate hain yun us ki bala ne chaha

ta-dam-e-marg na hon tujh se meri jaan juda
main ne chaha tha wa-lekin na khuda ne chaha

chal base dekhte hi chaal ada ki hum to
ho we qissa hi ada teri ada ne chaha

ghar se kis tarah se yun hazrat-e-munim niklen
di na bubu ne ijazat na diwane chaha

ho ke yak-dast tere aur hi ai yar-e-numud
jab tujhe hum se kisi be-sar-o-pa ne chaha

marte marte bhi na yak-bar tujhe dekh liya
is qadar bhi na meri jaan qaza ne chaha

koi apna na hua silsila-jumban-e-junun
ek fil-jumla usi zulf-e-dota ne chaha

jis tarah chaho satao mujhe har roz buto
us ka ek raat ewaz lunga khuda ne chaha

nam-e-anqa se bhi nang aata hai 'ehsan' mujhe
shohra-e-nam ko kyun ahl-e-fana ne chaha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close